Insan Ki Zindgi tu iss kadar mukhtasar hai k woh mohabbat ka haq bhi ada nhi kar sakta na janaye log nafrat k liye waqt kahan sy nikal letaye hein.
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Jab taluk zrorat k hon tu un ki yad bhi zrorat k waqt hi ati hai.
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Do hi chezein aesi hein jis mein kisi ka kuch nhi jata ek muskrhat aur dosri dua humesha bantaye rahein.
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Kisi ko barbad karnye ki soch apki barbdi k liye kafi hai.
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Tehzeb sekhati hai jenay ka saleka taleem sy jahil ki jahalat nhi jati.
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Sochon k badalnye sy niklta hai naya din soraj k chamknye ko sawera nhi kehtaye..
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Riyazi humein yeh nhi sekhati k kis tarah khushiyon ko jorna hai aur udasiyon ko ghatana hai lekin ek boht ahm sabak zror sekhati k har maslye ka hal hai..
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Khushiyon ka taluk ap k halat sy nhi ap k faislon sy hai..
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Kashtiyan bahr k pani sy nhi andr k pani sy dobti hein aur ghar bhi.
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Log acha padhnay aur acha likhnaye walaye ko kabil insan samjhtye hein jabky haqeqat mein kabil woh hai jo acha sochye aur acha bolye..
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Jo log dosron k isharon paye chaltye hein unka anjam yehi hota hai..
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Insan ko us k halat nhi khayalat pareshan kartye hein halat tu waqt k sath badaltye rehtye hein lekin khayalat ko badlna asan nhi hota.
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Humehsa akhlaq sy bat karo kyn k insan par sab sy zyda mosibatein uski zaban ki wajah sy ati hein..
●○●○●○●○●○●○●○●○●
ilm yeh nhi k bat kitni gehri hai aur alfaz kitnye muskil ilm yeh hai k bat kitni zrori hai aur alfaz kitnye sada hein.
●○●○●○●○●○●○●○●○●
akdh tu sabhi mein hoti hai bas jhukta woh hai jisay fikr hoti hai..
●○●○●○●○●○●○●○●○●
uss mashraye mein aurat ka martaba kesay buland hosakta hai jahan mardon ki ladhe mein galiyan maan behan ki di jati hein..
●○●○●○●○●○●○●○●○●
badtamezi har insan karsakta hai magr kisi kisi ko tarbiyat rok leti hai.
●○●○●○●○●○●○●○●○●
betaye ko itna padha k jahez mangnaye ki zrorat na padhye aur beti ko itna padha k jahez denaye ki zrorat na padhye..
●○●○●○●○●○●○●○●○●
Burae ki taraf nafs dor kar jata hai jab k neki ji taraf usay ghaset kar lana padhta hai..